Vadda nahin kerta ke sath nibha paoon ga main

Sath tere umer bher zindagi bita paoon ga main



Kya pata ab ke mosam ka kab rukh apna palte

Nahin pata mujhe kab bewafa ho jaoon ga main



Door hum bhi nahin hona chahte aap se mager

Kya pata kab ki baar fanna ho jaoon ga main



Tere liye sansein abhi tu sath de rahi hain

Maloom nahin kab mot ke pass chala jaon ga main



Abhi tu sath tere rehte hain hum saaye ki tarah

Nahin keh sakta kab tumhe tanha chod jaon ga main