Tujh ko bana ke jeevan sathi, jeene
ka armaan hai janum
Ulfat teri iss duniya mein, chahat ka
samaan hai janum
Apni jaan luta dein ge, tere har aik
ishare par
Tera har ek hukam hamari, chahat ka
imtihan hai janum
Teri aankhon se peene par, hum se
kisi ko shikwa hai
Maikhane ki taoheen hai iss mein,
saqi ka farmaan hai janum
Qasam tumhari jaan-e-tamanna, jab se
tum ko dekha hai
Aankhon mein sapne jaage hain, dil
mein ek tufaan hai janum
Duniya ki in sab cheezon se, barh kar
tum ko chaha hai
Tujh se bandhi hai jeevan dori, tu to
meri jaan hai janum
ka armaan hai janum
Ulfat teri iss duniya mein, chahat ka
samaan hai janum
Apni jaan luta dein ge, tere har aik
ishare par
Tera har ek hukam hamari, chahat ka
imtihan hai janum
Teri aankhon se peene par, hum se
kisi ko shikwa hai
Maikhane ki taoheen hai iss mein,
saqi ka farmaan hai janum
Qasam tumhari jaan-e-tamanna, jab se
tum ko dekha hai
Aankhon mein sapne jaage hain, dil
mein ek tufaan hai janum
Duniya ki in sab cheezon se, barh kar
tum ko chaha hai
Tujh se bandhi hai jeevan dori, tu to
meri jaan hai janum