Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtehan aur bhi hain
Tahi zindagi se nahi yeh fazayein
yahan saikron karwan aur bhi hain

Qanaat na kar alam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheeman to kya gham
Maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain
Tu shaheen hai parwaz hai kaam tera
Tere saamne asman aur bhi hain
Isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
Keh tere zameen-o-makan aur bhi hain
Gaye din k tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere raazadan aur bhi hain