AIK PAKISTANI BIWI KI AMERICA MAI FARYAAD
zist ki talkh haqiqat ko nibhana hai mujhe
job se aa k abhi khana pakana hai mujhe
merey sartaj se baasi nahii khaya jata
garm roti bhi isi waqt pakana hai mujhe
mujhko bacho'n ko lana hai sitter k ghar se
saaf suthra inhe nehla k banana hai mujhe
baap k unko to tv se hii fursat kab hai
khana khilwa k phir homework karwana hai mujhe
tarbiat unki karoo'n ye bhi tau hai farz mera
kalma sun'na hai sipara bhi parhana hai mujhe
loria'n de k sulaoo'n ye kaha'n unke naseeb
unko bistar pe akeley hii litana hai mujhe
phir safai mai karoongi mai karoongi dusting
landri karna hai aur mop lagana hai mujhe
istri mai na karoongi tau karega phir kaun?
istri ghar ki hoon iss ghar ko sajana hai mujhe
roz k kaam mujhe khud hii chukane hongey
aaye week end tau sauda bhi tau lana hai mujhe
hai faqat dosh mera ye k mai aik biwi hoo'n
aur shohar ka bhi harr naaz utthana hai mujhe
raat aadhi hui aur kaam merey baqi hain
aur subha utth k abhi job pe jana hai mujhe
janey kab samjhengey ye unn ko bataoo'n kaisey
aa k Maghrib mai bhi Mashriq ko nibhana hai mujhe.

Ape Sab Ka Pyara MusA.