Is baar kuch aisa main chahta hoon
Tum ko apna banana chahta hoon


Bhula kar apne sab gham
Tumhein dil se apnana chahta hoon


Tumhein tumhari ijazaat se
Apne dil mein basana chahta hoon


Apne naam k saath jor kar tumhara naam
Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon


Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane
Tumhein har dua mein mangna chahta hoon


Ho jao tum meri aur main tumhara
Har pal bas yehi ehsaas chahta hoon


Tum se hi ki bas mohabbat main ne
Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon


Karta hoon aaj main yeh iqraar
Main bas tumhein bas tumhein hi chahta hoon


Haq ke saath kahoon tumhein main apna
Tumse bas aaj main yehi raza chahta hoon