Tere ishq ki intaha chahta hoon
Meri sadgi dekh kya chahta hoon

Sitam ho k ho wada-e-be hijab
Koi baat sabr-azma chahta hoon
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Keh main aap ka samna chahta hoon
koi dam ka mehman hoon ai ahl-e-mehfil
chiragh-e-sehar hoon, bujha chahta hoon

bhari bazm mein raz ki baat kah di
bara be-adab hoon, saza chahta hoon