Aslam - O - Alekum

Keya hal ha ap ka payara dosto umed ha sab belkol kareyat sa hun ga...

Ap sab janta hain k ya aik poetry forum ha aur songs main b poetry use hote ha jo k bahot he zaberdast hote ha es leya ya section banya gaya ha tank poetry ke tara ap apna favorite pakistani aur indian songs b apna dosto sa share kar saken mager es section k koch rules banya gaya hain jo main ap ko batata chalon...

Section rules.....



1 .... Songs share karna sa pahla ya dak lejye k us ke poetry ache aur meyare hone chaye kese b lahaz sa aklake tor par gere hoye nahi hone chaye yane ap asa song share karen jes ko ap apna ghar main sab k samne b sun sakta hun...

2 .... ager ap song ka link data hain tu wo direct downloading link hona chaye kese site ka link nahi hona chaye...

3 .... Thread banata hua title ko song k naam sa lekhye sath ma jes singer ya movie ka song ho us ka naam b lekhye...

4 .... aik he thread ma aghta bahot sa songs share na karen balk alag alag thread main post karen...
( ager ap k pass kese singer ke pore album ya kese movie k sara songs majod hain tu pher aik he thread ma post kar sakta hain mager ya seraf downloading link k leya ha flash song alag alag thread ma he post karen)
Rules ka keyal rakhye basorat - a - degar ap ke thread basket kar de jaya ge ya ap ko ban kar deya jaya ga Sokreya

ALLAH HAFIZ