Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu Poetry
Aslam-O-Alekum
mhotram guest ager ap www.presmurdu.com k member hain tu yahan sa login hun....
ager ap member nahi hain tu yahan sa ap humara es forum ma Register ho sakta hain.......





















Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu Poetry
Aslam-O-Alekum
mhotram guest ager ap www.presmurdu.com k member hain tu yahan sa login hun....
ager ap member nahi hain tu yahan sa ap humara es forum ma Register ho sakta hain.......




















Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu Poetry
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu PoetryLog in

descriptioncompleteBiography Of Owais-E-Dauran, Gaus-E-Zamaan, Qutub-Ul-Waqt,Imam-E-Mujaddine

more_horiz
Nisbat-e-Mustafai(Salla
Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) :


HazratMaulana Shah Fazl-e-Rehman Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih) ka Ishq Mohammad
Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) se kuch
aisa tha
ki lafzo main bayan nahi kiya ja sakta hai unki har ada hi
Raza-e-Mohammad
(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) thi. Unka uthna
bolna baithna
chalna yahan tak ki sans lena bhi Ishq-E-Mustafa mai
tha(subhanallah).
Aap Farmate ki jin galiyon se Mohammad Mustafa(Salla
Allahu ta'ala
'alayhi wa Sallam) guzre hai un galiyon ke kuchon ko main
apni palkon
ke baharun. Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman
Gunjmuradbadi (rahmatullah
alaih) farmate hai ki ek bar unki Zaujaye Hayat(Wife) un
ke sath
baithe hue the to hamare pyare Huzoor(Salla Allahu ta'ala
'alayhi
wa Sallam) tashrif late hai ek pir zada Hazrat Maulana
Shah Fazl-e-Rehman
Gunjmuradbadi (rahmatullah alaih) ke khidamt mai tashrif
laya to
Huzoor(Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ko dekhte hi
behoosh
hogaya hosh ane ke baad Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman
Gunjmuradabadi(rah)
ne pucha ki arey bhai behosh kaise hogaye to us pir zade
ne jawab
diya ki Huzoor (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ke
Jamaal
se behosh hogaya to Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman
Gunjmuradabadi(rahmatullah
alaih) ne farmaya ke bus ek hi jhalak main ye haal hai.
Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman
Gunjmuradabadi(rahmatullah alaih)
farmate hai ki ek Bar aap ne Hazrat Maula Ali Mushkil
Khusha(Radi
Allahu anhu) ko dekha who mujhse farmate hai ki andar
ajaao mujhe
badi hichak lagi phir aapne dubara kaha to mai adban andar
aagaya
to wahan Hazrat Khatoon-e-jannat Maa Fatima(Radi Allahu
anha) ko
dekha unhone mujhe beta kehkar apne sine mubarak se
lagaleya aur
aksar unke khwab me didar ata farmati. Hazrat Ayesha
Siddiqa(Radi
Allahu anha) bhi isi tarah Hazrat Maulana Shah
Fazl-e-Rehman Gunjmuradabadi(rah)
ko chahti thi aur jab bhi Hazrat Maulana Shah
Fazl-e-Rehman Gunjmuradabadi(rahmatullah
alaih) bimar hote to ap unke paas tashrif lati tashrif
lane par
fauran Hazrat Maulana Shah Fazl-e-Rehman
Gunjmuradabadi(rahmatullah
alaih) ki tabiyat thik hojati (SubhanAllah).



"
Ek ye gahr hai ke goya maktabe Jibrile"
Warna Din-e-Madarse mai mausami talim hai"



Hazrat
Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gunjmuradabadi(rahmatullah
alaih) ne
irshad farmaya ki ye wo masjid hai jahan Mohammad Mustafa
(Salla
Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam)aksar tashrif late the aur
Mohammad
Mustafa (Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam) ne is
masjid main
namaz bhi padhi hai (SubhanAllah). Jo koi is masjid main
kadam rakhega
uski akbat bakhair hogi. Dada Miya Rehmatuallah Miyan
Sahab jo Hazrat
Maulana Shah Fazl-e-Rehman Gunjmuradaabadi(rahmatullah
alaih) ke
Pote hai unse bhi yahi malum hua hai. Aap farmate hai
Yahan Huzoor
Gaus-e-Pak(Radi Allahu anhau), Hazrat Nizamuddin
Aulia(rahmatullah
alaih) aur digar aulia-e-karam aksar tashrif late the.
Maulvi Sayed
Mohammad Ali Mungeri(rahmatullah alaih) farmate hai ki
unhone khud
masjid Fazl-e-Rehmani main Mujaddid Alif Sani(rahmatullah
alaih)
aur Huzoor Gaus-e-Pak(Radi Allahu anhau) ko tashrif farma
dekha
hai.
Yahi wo cheez hai jis ko samajh kar dil ye kehne par
majboor hojata
hai ki



"Nabi
Se Is Kadar Maksoos Ye The Qurb Nisbat Main,
Ke Karta Tha Khatir Fazl-e-Rehman, Fazl-E-Rehman Ki,
Khuda Ke Panjatan Ke Char Yaro Ke Hasin Jalwe,
Janab Fazl-e-Rehman Mai Hai Panah Dekhne Wale"
(SubhanAllah).






Hazrat
Maulana
Shah Fazl-e-Rehman Gunjmuradabadi (rahmatullah alaih)
zabardast
karamats janene ke liye upar left main Karamat(Miracle)
section
par click karain ya is link ko copy karke new page par
paste karain:

descriptioncompleteRe: Biography Of Owais-E-Dauran, Gaus-E-Zamaan, Qutub-Ul-Waqt,Imam-E-Mujaddine

more_horiz
nice sharing

descriptioncompleteRe: Biography Of Owais-E-Dauran, Gaus-E-Zamaan, Qutub-Ul-Waqt,Imam-E-Mujaddine

more_horiz
nice sharing dear
thanks

descriptioncompleteRe: Biography Of Owais-E-Dauran, Gaus-E-Zamaan, Qutub-Ul-Waqt,Imam-E-Mujaddine

more_horiz
privacy_tip Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
power_settings_newLogin to reply