Kuch Kaam Ki Baatein

1. Jo shakhs wazu karne se pelhle pehla kalma parh le to wazu k har har qatray per Allah aik farishta paida karay ga jo qayamat tak pehla kalma parhta rahe ga aur is ka sawab us shakhs ko milta rahe ga

2. Pyare Nabi Kareem (S.A.W) ne irshaad farmaya k:
"Wo shakhs jannati hai jo raat ko sone se pehle sub ko maaf kar k soye"

3. Woh gunnah jis ka tumhein ranj ho Allah k nazdeek us neyki se behtar hai jis se tum main ghroor paida ho jaye (Hazrat Ali R.A)

4. Jo Jummah ki namaz se pehle 3 bar Surah Qadar parh le to us din tamam namaz parhne walon ki tadad k barabar naykein mieingi

5. Ghussa sheitan ki taraf se hai aur sheitan ko aag se paida kiya gaya hai aur aag ko pani bhujhata hai isliye jab ghussa aaye to wazu kar lo (Abu Daud)

6. Irshad-E-Nabwi (S.A.W) hai:
"Logo say miltay waqt muskrana andhay ko rasta dikhana, rastay se pathar hatana aur naiki ki baat batana bhi sadqah hai

7. Jab koi banda Allah ki naimat par Alhundulillah kaehta hai to Allah usko is se afzal naimat ata farmata hai

8. Allah Ta'ala farmate hain ke:
"Aay banday ager kabhi raat ko teri aankh khule aur to phir so jaye to tu ne mujh se bewafai ki aur ager teri aankh khule aur tu ne wazu kiya aur meri ibadat ki to jo tu ne manga aur maine qabool na kiya tu maine tujh se bewafai ki aur main aisa nahi karta"

9. Allah har gunnah ki maafi mangne par maaf farma dete hain, siwaye gheebat aur chugli ke. Wo Allah Ta'ala tab tak maaf nahi farmate jab tak insan khud us shakhs se maafi na mange jiski gheebat ya chugli ki thi

10. Hazrat Ali R.A nay farmaya:
"Lambi umeedon se perhaz karo kyun ke yeh nematon ko tumhari nazar main haqeer bana deti hai aur tum unki shukar ghuzari nahi kartey"

11. Jo dua doston ke liye un ki ghair moujudgi main ki jati hai woh kabhi radd nahi ki jati