Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu Poetry
Aslam-O-Alekum
mhotram guest ager ap www.presmurdu.com k member hain tu yahan sa login hun....
ager ap member nahi hain tu yahan sa ap humara es forum ma Register ho sakta hain.......





















Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu Poetry
Aslam-O-Alekum
mhotram guest ager ap www.presmurdu.com k member hain tu yahan sa login hun....
ager ap member nahi hain tu yahan sa ap humara es forum ma Register ho sakta hain.......




















Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu Poetry
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu PoetryLog in

description:1:........Maa........(ASMA KHAN)

more_horiz
........Maa........
jab tu peda howa kitna majbour tha
yeh jahan teri socho se bhi dour tha
hath paon bhi tab tere apne na the
teri ankhon main duniya ke sapne na the
tujh ko ata tha sirf rona hi tha
doodh pe ke kaam tera sona hi tha
tujh ko chalna sikhaya tha maan ne teri
tujh ko dil main basaya tha maan ne teri
maan ke saye main parwan chalne laga
waqt ke sath qad tera barne laga
ahista ahista tu kariyal jawan ho giya
tujh pe sara jahan mehrban ho giya
zor bazoo pe tu baat karne laga
khood hi sajne laga khood hi sanwarne laga
aik din ik haseena tujhe bha gayi
ban ke dulhan woh tere ghar agayi
farz apne se tu dour hone laga
bij nafrat ka khood hi tu bone laga
pheer tu maan baap ko bhi bhulane laga
teer bato ke pheer tu chalane laga
baat be baat unn se tu ladne laga
qayda ik naya tu pheer padne laga
yaad kar tujh se maan ne kaha ik din
abb humara guzara nahi tere bin
sunn ke yeh baat tu tesh main agiya
tera gussa teri aqal ko kha giya
josh main aake tu ne yeh maan se kaha
main tha khamosh sub dekhta hi raha
aaj kehta hoon peecha mera chor do
jo hai rishta mera tum se woh tor do
jao ja ke kahin kaam dhanda karo
log marte hain tum bhi kahin ja maro
beth kar ahain bharte the woh raat bhar
inki ahon ka tujh par howa na asar
aik din baap tera chala roth kar
kese bikhri thi pheer teri maan tout kar
pheer woh be bass ajal ko bhulati rahi
zindagi isko har roz satati rahi
aik din mout ko bhi taras agiya
iska rona bhi taqdeer ko bha giya
ashk ankhon main the woh rawana howi
mout ki aik hichki bhana howi
ik sukoon isk chehre pe chane laga
pheer tu mayyat ko iski sajane laga
muddatain ho gayi aaj buda hai tu
jo para touti khatiya pe kora hai tu
tere bache bhi abb tujh se darte nahi
nafrate hain muhabbat woh karte nahi
dard main tu pukare ke o meri maan
tere dam se roshan the dono jahan

waqt chalta rahe waqt rukta nahi
tout jata hai woh jo ke jhukta nahi
bann ke ibrat ka tu abb nishan reh giya
dhonde zor tera kahan reh giya
tu ehkam-e-rabbi bhulata raha
apne maan baap ko tu satata raha

kaat le tu wohi tu ne boya tha jo
tujh ko kese mile tu ne khoya tha jo
yaad kar ke giya dor rone laga
kal jo tu ne kiya aaj hone laga
mout mange tujhe mout aati nahi
maan ki surat nigahon se jati nahi
tu jo khanse tu aulad dante tujhe
tu hai nasoor sukh kon bante tujhe
mout ayegi tujh ko magar waqt par
bann hi jaye gi qabar teri waqt par

qadar maan baap ki agar koi jaan le
apni jannat ko duniya main pehchan le

description:1:Re: ........Maa........(ASMA KHAN)

more_horiz
luv u Mummy :cheers: & mis u so so so mach 😢

description:1:Re: ........Maa........(ASMA KHAN)

more_horiz
vvv nice asma kafe nice aur sabak amoz poetry ha...........

description:1:Re: ........Maa........(ASMA KHAN)

more_horiz
Sir KOI Shak Nahi Is Poetry Ko Read Kar K Ankoo Mian Ansoo B aa Jatay Hain

Asma Ape Ne Bohat Achii Poetry Shair Ki Hai

Aur Ape kI Is Poetry Se Hum Sab KO Kuch Na Kuch HasiL Karnay Ko Milta Hai.

description:1:Re: ........Maa........(ASMA KHAN)

more_horiz
Nice sharing dear................

description:1:Re: ........Maa........(ASMA KHAN)

more_horiz
privacy_tip Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
power_settings_newLogin to reply