Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu Poetry
Aslam-O-Alekum
mhotram guest ager ap www.presmurdu.com k member hain tu yahan sa login hun....
ager ap member nahi hain tu yahan sa ap humara es forum ma Register ho sakta hain.......





















Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu Poetry
Aslam-O-Alekum
mhotram guest ager ap www.presmurdu.com k member hain tu yahan sa login hun....
ager ap member nahi hain tu yahan sa ap humara es forum ma Register ho sakta hain.......




















Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu Poetry
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Presmurdu - Pakistani Urdu Forum | urdu shayari | Urdu Islam | Design Urdu PoetryLog in

descriptioncompleteHijaab, Niqaab Ya Pardaah(asma khan)

more_horiz
Niqab (Hijaab)
Niqab ya pardah kia hai? Yeh sawal agar aap kisi se karenge to sab se pasandeeda jawab aap ko yahi milega k ek aurat jab outer loose kapre pehne gi aur chahre par ghoonghat sa banaiegi jis se us ka chehra dhaanp sake.
Quran aur hadith main hijaab ya niqaab ki asee' meanings hain jo aagey es article main discuss kie jaaienge. Aur aaj kal bohot saare auraton ne hijaab ko apna bhi lia hai.
Kuch logon ka yahi khayal hai jo k forum par bhi main ne kisi se suna tha k hijaab ya niqaab ko as a fashion use karna achi baat nahi. Ab yeh to mujhe pata nahi k fashion se un ka kia matlab hai, lekin us baat ki kafiat se mujhe laga k logon ko fashion name sunte hi western cultures zehen main beth jate hian jo k bilkul ghalat hai.
Main aap ko batata chalon k Islam ka bhi apna ek fashion hai, Islam ki bhi apni ek khoobsoorti hai, Islam ne hamein yeh taleem kabhi bhi nahi di hai k ham apna hulia aisa banaie k samney wala hamein bore samajne lage. Haan yeh alag baat hai k saadgi ko Allah bhi pasand karta hai aur us ka Rasool SAW bhi. Agar koi aisa hijaab pehn'na chahe jis par karhai bohot umda ki gaie ho, us ki cutting bhi stylish ki gaie ho lekin un sharton ko poori kar rahi ho jo Islam ne muqarrar ki hai (jism ko chupa deta ho) to aisa hijaab pehen'ne main koi muzaaieqa nahi. Balke aisa hijaab pehen'na ziada munaasib ho ga. Insane variety chahta hai, agar ek hi qism ka hijaab pehna jaie jesa k Taliban ne muqarrar kia hai phir to non muslims to kia, muslims bhi islam se door bhagne lagenge.
Ek baat aur, hamare muashire main jahan par niqaab ya hijaab ka ziada rujhaan hai, to ziada tar auraton ko hijaab pehen'ne k lie paband kia jaata hai. Aur esi baat par apne aap ko tasalli dete hain k aisa Islam ne kaha hai k un k auratien hijab pehene ya niqab pehene. Lekin jitni pabandi aurat ko karni chahie utna hi sakhti se mardon ko bhi hijab ka hokum dia gaia hai. Mardon ka hijaab kesa hota hai aaie Quraan-o-Hadith ki roshine main dekhte hain.
Mardon ka hijaab
Niqab ya hijaab k mutaliq Islam ne kaie ahkamat jaari kie hain jin main se kuch daraja zel hain.
1. Ek mard ko ek namaharam aurat ki taraf dekhne se mana kia gaia hai.
Allah ta'ala farmata hai, "aur keh do emaan walon ko k mard anjaan aurat k saamney nazar jhuka le aur apni paakeezgi ki hifazat kare" surah Al-Noor 30
2. Jab mard aur aurat k darmian kisi zaroorat k teht baat karna pare to darmian main parda zaroor hona chahie..
Allah Ta'ala fermata hai, "agar tumhe un se (na maharam aurton se) kuch poochna hai to kisi parde se peeche ho kar bat karo" Surah 33, Verse 53
3. Mard aur aurat ko tanhaie main nahi milna chahie, agar che woh baat bhi na kare, agar maharam saath na ho.
Hazrat Muhammad SAW farmatey hain, "kisi mard ko us waqt tak kisi aurat se tanhaie main nahi milna chahie jab tak us aurat ka maharam us k saath na ho. Mishkaat
Auraton ka hijaab
Jesa k mardon k lie Islam main hijaab karne ka hukum dia gaia hai esi tarha aurton ko bhi hukum dia gaia hai k woh pardah main rahe.
Allah Ta'ala fermata hai, "aur tum (aurtaien) gharon k hadon tak hi mehdood raha karo" surah ahzab 33
Es aayat ko kisi bhi tareeqa se interpret kia ja sakta hai. Jesa k western rules "Value" k mutabiq yeh auraton par zulm hai. Un k khayal main auraton ko mardon k saath shaana bashaana rehna chahie, un ki apni ek value honi chahie jesa k mard ki hoti hai. Western rules k mutabiq aurat agar khul-e-aam ghoomna chahe to ghoom sakti hai agar who apne husband k saamney kisi ko hug karna chahe to kar sakti hai,00000 karna chahe to00000 kar sakti hai, yahan tak k agar naked ghoomna chahe to ghoom sakti hai. Lekin es culture ki waja se ek to aurat sharm-o-haya se paak ho jaati hai to doosri taraf aise takaaleef ka saamna karti hai jo mard ka aise takaaleef ka saamna karna mumkin hi nahi hota. For example. Menses aur pregnancy k waqt bohot ziada shikayat hoti hai aurtaon ko, bohot saarey auratien to aisi hoti hain k aise haalat main un k lie baatein karna bhi nuqsaan deh hoti hai, lekin west main to woh es haalat main kaam bhi karegi aur acha result bhi show karegi. Aur phir yahan Pakistan main to aise sahooliat bhi nahi hain jo west main logon ko milti hai, agar Pakistan main aise auratein kaam karengi to sochie un ka kia haal hoga? Aeration k es freedom k nateeje main US main har saal 132000 rapes hote hain, aur en main se aadhey se ziada auratien apne attackers ko jaanti bhi hain. West k es freedom ne aurtaon ko stress, depression aur tenstion k elawa kuch bhi nahi dia gaia. Yahan par sawal yeh paida hota hai k eastern khawateen western k muqaable main ziada tense q rehti hain? Aur es k lie islam ko bhi doshi samajte hian, lekin yeh dosh islam ka nahi hamara apna hai. Islam ne kuch code of conducts muslamanon k die hain, unhe implement karna chahie, jo k ham musalmanon ki zima daari hai. Jin khushion k lie western auratien be pardah ho kar bazaaron main nikal gaie hain aur factrion main kaam karti hain, wahi khushian islam unhe ghar par deta hai. Agar kami hai to sirf es baat ki k hamare pass Islamic knowledge nahi hai. Aur agar hai bhi to bad qismati se ham implement nahi karte.
Quran ki es aayat ko aisa bilkul interpret nahi karna chahie k yeh aurat par zulm hai, ya aurat ko ghar par hi nazar band kar dia hai. Islam ne aurat ko ghar k malkah ka darja dia hai aur unhe kuch zimadarian die gaie hain jo k woh zima darian bahar nikal kar poori nahi ki jaasakti. Aur agar aisi koi zima dari ya zaroorat ho jo k ghar se bahir nikalne k baghair poori nahi hoti, to us k lie who pardah main reh kar bahar ja sakti hai lekin maharam saath main hona chahie.
Western rules "Value" auraton ka haq ya mardon k lie asaani?
West ne jo aurat k azaadi ka dhoong rachaia hai kia yeh auraton k haq main bhetar hai? Bilkul nahi. Asal main western mard apni zimadarion se ji churaa rahe hain unhon ne aurat par kuch extra zimadarian daali hai jo k mardon ko poori karni chahie. Yeh auraton par sarasar zulm hai. lekin bad qismati se eastern auratien usi zulm sehne k lie sar hatheli par rakh kar koshishien kar rahi hain, agar eastern auratien apne real haq k lie larna shoro kar de jo k us ko islam ne dia hai to es baat main der nahi lagegi jab western auratein eastern auraton k khushion ko dekh kar islam ko follow karegi. Lekin es haq k lie larna sirf auraton ka kaam nahi, mardon ko bhi realize karna parega ka ba pardah rehne aurat ko islam ne jo haqooq die hain woh mardon ka farz hai k unhe poora kia jaaie.
Allah hamein pane faraiez poora karne ki tofeeq ataa farmaie. Jago K Waqt Qareeb Hay

Jago k waqat Qareeb hay
ajj may jiss mozo per likhnay ja rehi hon ye bohat nazuk mozo hay,ho sakta hay k meri maloomat iss ziman may kaheen teek b na ho,ye b ho sakta hay k maloomat teek ho but iss may jo time tabel bataya ja reha hay wo teek na ho.

kuch b likhnay say pehlay ye zaroor kahoon gi k yahaan may sirf wo batain share ker reha hon jo meray ilam may aai hay,in ko kisi b soorat may hatmi nai kahoon gi bcoz asal ilam sirf our sirf ALLAH TABRAK O TALLAH k pass hay.
app say guzarish hay k ye sab ghor say parh k apnay erd gird k logon ko b share kerain taa k log apni aakhret ki fiker kerain,.
jadeed scinci tahqeeq k mutabiq 21 Dec 2012 subah 11:11am per Zameen,Sooraj our kehkashaan aik seedh may aa jain gay.iss k nateejay may Zameen per bohat bari bari tabdeelyan ronumaa honay ka zaberdast andaisha hay.our aisa 26000 years may sirf aik martaba hota hay.


wo tabdeelyan kya ho sakti hain?
tabbah kun zalzaloon say zameen ka phat jana.iss k nateejay main zameen k dhansnay k barhay barhay waqiaat ronumaa ho saktay hain. Samandroon ka khushki per charh dorhna.sonami jaisay tofaanon say tabahi ka pailna.Khfnaak aatishfashaanon ka phat jana our lawoon ka abadyon may gus ker tabahi pailana.pathron ki barish ka hona.zameen per garmi ka naqabil-e-bardasht had tak barh jana.muhlak bemaryon ka pail jana.qehat perh jana.jis ki waja say barhi barhi jangon ka chirh jana.


ehal-e-maghrab kehtay hain dehashat gardhon ka barha hamla ker daina our itemi hatyaron ka istamal honay say nateejatan 80% say 90% insan halak ho saktay hain.

meyyan tehzeeb jo hisaab,ingenring,our falkiyaat may bohat taraqi yafta thi,in k long kaont calnder k great cycle (jo k 5125.36 years per mushtamil hay) ki ibtada 13 Aug 3114 qabal maseeh ko hoi thi our iss ka end 21 Dec 2012 ko ho reha hay.iss liay kaha ja reha hay k iss great cycle k end k sath he zameen ka b end ho jay ga.baaz k nazdeek insaniyet ka hatma nai ho ga but bohat barhi tabdeeli ho gi jiss k nateejay may insaniyet aik new door may dahil ho gi.cristin k mojooda pop ko aakhari pop kaha ja reha hay our amrica k president barak obama ko last amrican president kaha ja reha hay.


aaye ab iss ka islami lehaaz say jaiza laitay hain...
Hazrat Wasla(RA) fermatay hain k main nay Rasool Allah(salallaho alaihi wasalam) ko ye fermatay huay suna hay k jab tak 10 nishanyan zahir na ho jain Qayamat nai aay gi.. 1: Zameen may dhansa dainay wala aik waqaya mashriq may 2: aik magrab may 3: our aik jazeera-tul-arab may ho ga 4: dajjal ka ana 5: doowan uthna 6: nazool Iesa alaihay islam 7: qomey yajooj majooj ka nikalna 8: daba-tul-araz(aik janwer jo safa o marwa ki paharyon say nikalay ga) 9: sooraj ka maghrab say taloo hona 10: aag jo aden ki gehrai say nikalay gi our logon ko hankati hoi mehasher ki taraf lay jay gi.choti barhi chionti ko jama ker day gi. (tabrani,hakam,merdodya our kanzul aamal)

2012 may ager mutwaqa hadsa hua tu maderja bala hadees k mutabiq 4 nashanyan poori ho sakti hain.3waqyaat zameen k dansnay k(aisa lagta hay k pooray pooray cities dans jain gay,bcoz chotay motay dansnay k waqyaat bohat ho chukay) our 4th nishani "doowan" jo k itemi jangon k nateejay may b ho sakta hay our aasmani aafet say b.

Hazret Abu huraira (RA) say rawait hay k RASOOL ALLAH (salallah alaihi wasalam) nay fermaya k Qayamat us waqat tak qaim na ho gi jab tak deryai fraat sonay k pahaarh say na sirk jay,log iss k hasool k liay larhain gay(larai itni shadeed ho gi k) 100 may say 99 log maray jain gay,inn may say her aik iss umeed say laray ga k shaid may he wo bach janay wala hon. (mashkasht)

ain mumkin hay k 2012 k hadsa may ye alaamet b poori ho jay. agay chalatay hain... Hazret Daniyal alaihi salam ki paish goi k mutabiq 2012 yohodyon k hatmay ka saal hay.yohodyon ka mukamil hatma Iesa alaihi salam k hathon ho ga.in say pehlay Amam mehadi ka zahoor ho ga jin k hathon beitul maqdas fata ho ga.yohodyon ki napak reyasat israil ka hatma ho jay ga.goya yahiin say yohodyon ka hatma ho ga.

aisa lagta hay k 20011 ya 2012 may iss saray amal ki abtada ho jay gi.

dekhya Hazrat Abu Huraira (RA) k aser ka aik iktabass... 1400 hijri ki dehayoon may mehadi ameen ka zahoor ho jay ga.amrica poori dunya ko werghala k inn k halaf jama ker lay ga,wo sab hermajdoon nami aik pahaarh k qareen jama hon gay(iasai iss jang ko aarmegdon ki jang ka naam detay hain)hofnaak jang ho gi.mehdi (ithadyon ki foj per) intahai karbnaak teer phaikain gay our zameen o aasman our samandroon ko in per jala ker rakh ker dalain gay.aasman say aaftain bersain gi.zameen walay sab kafroon per lantain baijain gay.our ALLAH TALLAH kufer ko matanay ki ijazet dey day ga.(tafseel k liay dekhain "zahooray mehdi tak" ahadees ki roshni may paish goyan page33 moalif Abu ubaidullah asif majeed)

iss iqtabass may jo baat ghor talib hay jis ki karhi 2012 k hadessa say jurhti nazer aati hay,wo ye hay k "zameen o aasman our samandroon ko in per jala ker rakh ker dalain gay" ye joheri hamla ho sakta hay jis ka dushman ko hatra hay k dehashat gard koi barha hamla kerain gay. "aasman say aftain barsain gi " ye ALLAH TALLAH ki maded ho gi jo musalmanon k haq may ho gi. dekhya 2012 k hadsay k menderjaat jo oper ziker ho chukay kya ye wohi nai hain jin ka ziker hum nay iss aser may parha.

hadees k mutabiq iss jang may itnay log maray jain gay jis ka andaza iss masaal say hota hay k aik kowwa in laashon k oper urhna start keray ga, urhtay urhtay thak jay ga our gir ker mer jay ga laashain hatam na hon gi.

amrica nay 5 lakh air tite kafnon ka intazaam ker lia hay.
kanay dajjal ka harooj Hazrat Amam mehdi k dor-e-halafet k 7th saal may ho ga.iss liay ye kehna k 2012 may dajjal ka harooj mutwaqay hay teek nai hay.albata Hazrat Amam mehdi ka zahoor 2011 ya 2012 ya iss say pehlay mutwaqa ho sakta hay.haan ye baat ehmiat ki hamil hay k dajjali saamraj nay bohat pehlay say iss ki tayaryaan start ker deen thin.iss fitnay k had-o-haal bohat wazay nazer aa rehay hain.iss liay humain chahye k hum b iss fitnay say bachnay k liay apnay SHARAA alaihi salam k bataay huay rastay per amel paira hon.


iss fitnay say bachnay k liay kuch amaal hain jin ka ziker may apni agali post may bohat jald keroon ga.

descriptioncompleteRe: Hijaab, Niqaab Ya Pardaah(asma khan)

more_horiz
hmmmmmmm zaberdast yaar maza a gaya app aik to likhti bohat lamba ho mager perhnay main maza bohat ata hai keep it yaar

descriptioncompleteRe: Hijaab, Niqaab Ya Pardaah(asma khan)

more_horiz
kamal ho gaya jii.

descriptioncompleteRe: Hijaab, Niqaab Ya Pardaah(asma khan)

more_horiz
privacy_tip Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum
power_settings_newLogin to reply